yaad aate hain jab ahbab purane mere
yaad aate haiñ jab ahbāb purāne mere
karb-e-ehsās se jhuk jaate haiñ shāne mere
mirī taqdīr meñ shāyad koī ta.abīr nahīñ
rah ga.e yuuñ hī dhare ḳhvāb suhāne mere
vird kartā rahā maiñ harf-e-sadāqat jin par
mo'atabar haiñ vahī tasbīh ke daane mere
mirī shohrat to hai ahbāb kī mamnūn-e-karam
ḳhuub baḌh baḌh ke sunāte haiñ fasāne mere
bazm-e-aġhyār kā māhaul bhī mānūs lagā
har nazar log mile jaane begāne mere
sabr kī aañch se patthar bhī pighal jaatā hai
but bane aaj vo baiThe haiñ sirhāne mere
mutma.in huuñ maiñ 'jamīl' apnī shakebā.ī par
is zamāne meñ bhī haiñ hosh Thikāne mere
yaad aate hain jab ahbab purane mere
karb-e-ehsas se jhuk jate hain shane mere
meri taqdir mein shayad koi tabir nahin
rah gae yun hi dhare KHwab suhane mere
wird karta raha main harf-e-sadaqat jin par
mo'atabar hain wahi tasbih ke dane mere
meri shohrat to hai ahbab ki mamnun-e-karam
KHub baDh baDh ke sunate hain fasane mere
bazm-e-aghyar ka mahaul bhi manus laga
har nazar log mile jaane begane mere
sabr ki aanch se patthar bhi pighal jata hai
but bane aaj wo baiThe hain sirhane mere
mutmain hun main 'jamil' apni shakebai par
is zamane mein bhi hain hosh Thikane mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.