yaad aate rahna bas
yaad aate rahnā bas
dil dukhāte rahnā bas
aur kaam kyā tum ko
āzmāte rahnā bas
dil pe gard kitnī ho
chamchamāte rahnā bas
zindagī yahī to hai
muskurāte rahnā bas
hāl-e-dil rahe dil meñ
gungunāte rahnā bas
sīkhnā har achchhī baat
aur sikhāte rahnā bas
baat baat par hañsnā
aur hañsāte rahnā bas
dil shikasta koī ho
dil baḌhāte rahnā bas
dil ke saaz par aksar
giit gaate rahnā bas
yaad aate rahna bas
dil dukhate rahna bas
aur kaam kya tum ko
aazmate rahna bas
dil pe gard kitni ho
chamchamate rahna bas
zindagi yahi to hai
muskuraate rahna bas
haal-e-dil rahe dil mein
gungunate rahna bas
sikhna har achchhi baat
aur sikhate rahna bas
baat baat par hansna
aur hansate rahna bas
dil shikasta koi ho
dil baDhate rahna bas
dil ke saz par aksar
git gate rahna bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.