yaad aati hai teri yun mere gham-KHane mein
yaad aati hai teri yun mere gham-KHane mein
Sudarshan Kumar Vuggal
MORE BYSudarshan Kumar Vuggal
yaad aatī hai tirī yuuñ mire ġham-ḳhāne meñ
khil uThe jaise gulistāñ kisī vīrāne meñ
apne dil hī meñ makīñ dekhā use ham jis ko
DhūñDte phirte rahe ka.aba-o-but-ḳhāne meñ
dil meñ the shoa.la-fishāñ hasrat-o-armāñ shab-e-ġham
saiñkaḌoñ sham.a farozāñ thiiñ siyah-ḳhāne meñ
the tirī bazm meñ sab jām-ba-kaf ai saaqī
ik hamīñ tishna-dahan the tire maiḳhāne meñ
tīrgī meñ bhī rahā jashn-e-charāġhāñ kā samāñ
barq ke sho.ale farozāñ rahe kāshāne meñ
mire afsāne ko afsāna na samjho yaaro
hai haqīqat hī haqīqat mire afsāne meñ
Daal dī sāqī-e-kausar ne azal se 'rif.at'
bāda-e-ishq-o-mohabbat mire paimāne meñ
yaad aati hai teri yun mere gham-KHane mein
khil uThe jaise gulistan kisi virane mein
apne dil hi mein makin dekha use hum jis ko
DhunDte phirte rahe kaba-o-but-KHane mein
dil mein the shoala-fishan hasrat-o-arman shab-e-gham
sainkaDon shama farozan thin siyah-KHane mein
the teri bazm mein sab jam-ba-kaf ai saqi
ek hamin tishna-dahan the tere maiKHane mein
tirgi mein bhi raha jashn-e-charaghan ka saman
barq ke shoale farozan rahe kashane mein
mere afsane ko afsana na samjho yaro
hai haqiqat hi haqiqat mere afsane mein
Dal di saqi-e-kausar ne azal se 'rifat'
baada-e-ishq-o-mohabbat mere paimane mein
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 150)
- Author : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.