yaad aati rahi bhula na sake
yaad aatī rahī bhulā na sake
sham.a jaltī rahī bujhā na sake
chāñd-tāre gul-o-chaman mil kar
dil kī ik dāstāñ sunā na sake
aas bāñdhī thī jin sitāroñ se
der tak vo bhī jagmagā na sake
naġhma kyā mutribān-e-ahd-e-jadīd
taar TuuTe hue milā na sake
aaj vo rahbar-e-ḳhalā.iq haiñ
ḳhud ko jo aadmī banā na sake
panja-e-gul se bhī ye matvāle
dāman-e-zindagī chhuḌā na sake
ġham ke maare hue qulūb 'nushūr'
dard kī sarhadoñ ko pā na sake
yaad aati rahi bhula na sake
shama jalti rahi bujha na sake
chand-tare gul-o-chaman mil kar
dil ki ek dastan suna na sake
aas bandhi thi jin sitaron se
der tak wo bhi jagmaga na sake
naghma kya mutriban-e-ahd-e-jadid
tar TuTe hue mila na sake
aaj wo rahbar-e-KHalaiq hain
KHud ko jo aadmi bana na sake
panja-e-gul se bhi ye matwale
daman-e-zindagi chhuDa na sake
gham ke mare hue qulub 'nushur'
dard ki sarhadon ko pa na sake
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 245)
- Author : Nushoor wahedi
- Publication : Sarvat Wahidi D/o Nushoor wahedi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.