yaad aaya hai ghar lauT ke sahra bhi bahut din
yaad aaya hai ghar lauT ke sahrā bhī bahut din
niklā na mire paañv kā kāñTā bhī bahut din
anjān rahā maiñ bhī ġham-o-dard se barsoñ
begāna rahī mujh se ye duniyā bhī bahut din
ik chāñd gahan manzar-e-har-shab pe huā baar
ai zauq-e-basārat ye añdherā bhī bahut din
mumkin hī nahīñ vaqt miTā de ye ḳhad-o-ḳhāl
ham ne use yaksūī se dekhā bhī bahut din
shohrat bhī milī mujh ko tire shahr se lekin
khāyā hai tirī bazm meñ dhokā bhī bahut din
dekhā hai 'ziyā' ḳhud ko zamāne kī nazar se
kartā rahā be-lutf tamāshā bhī bahut din
yaad aaya hai ghar lauT ke sahra bhi bahut din
nikla na mere panw ka kanTa bhi bahut din
anjaan raha main bhi gham-o-dard se barson
begana rahi mujh se ye duniya bhi bahut din
ek chand gahan manzar-e-har-shab pe hua bar
ai zauq-e-basarat ye andhera bhi bahut din
mumkin hi nahin waqt miTa de ye KHad-o-KHal
hum ne use yaksui se dekha bhi bahut din
shohrat bhi mili mujh ko tere shahr se lekin
khaya hai teri bazm mein dhoka bhi bahut din
dekha hai 'ziya' KHud ko zamane ki nazar se
karta raha be-lutf tamasha bhi bahut din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.