yaad aaya koi to rone lage
yaad aayā koī to rone lage
aur jā ke ham ek kone lage
itnī ūñchā.ī se zamīñ dekhī
aadmī kyā pahāḌ baune lage
us ne dariyā pe ek ism paḌhā
kashtiyoñ ke savār sone lage
bahtī gangā kā ye nahīñ matlab
har koī us meñ haath dhone lage
vo mire saath jis tarah khelā
dekhte rah ga.e khilaune lage
ghuT gayā dam charāġh kā 'miqdād'
aur ham be-libās hone lage
yaad aaya koi to rone lage
aur ja ke hum ek kone lage
itni unchai se zamin dekhi
aadmi kya pahaD baune lage
us ne dariya pe ek ism paDha
kashtiyon ke sawar sone lage
bahti ganga ka ye nahin matlab
har koi us mein hath dhone lage
wo mere sath jis tarah khela
dekhte rah gae khilaune lage
ghuT gaya dam charagh ka 'miqdad'
aur hum be-libas hone lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.