yaad aaya na karo dil ko jalane wale
yaad aayā na karo dil ko jalāne vaale
ham nahīñ ab ke tirā hijr manāne vaale
ġham sunāne ke liye maiñ bhī chalā jā.ūñgā
log mil jaa.e agar ashk bahāne vaale
niiñd is baar mirā saath nahīñ degī kabhī
ḳhvāb is baar nahīñ haath meñ aane vaale
aa kisī roz mire sāmne ik baar kahīñ
ḳhvāb meñ aa ke mirī niiñd churāne vaale
maiñ rahā aur mirā kaam rahā duniyā meñ
miT ga.e jaḌ se mirā naam miTāne vaale
zindagī dūsrā ghar dekh koī apne liye
ham nahīñ ab ke tirā bojh uThāne vaale
phir se kartā huuñ mohabbat kī shurūāt 'vaqās'
ḳhat jalātā huuñ sabhī aaj purāne vaale
yaad aaya na karo dil ko jalane wale
hum nahin ab ke tera hijr manane wale
gham sunane ke liye main bhi chala jaunga
log mil jae agar ashk bahane wale
nind is bar mera sath nahin degi kabhi
KHwab is bar nahin hath mein aane wale
aa kisi roz mere samne ek bar kahin
KHwab mein aa ke meri nind churane wale
main raha aur mera kaam raha duniya mein
miT gae jaD se mera nam miTane wale
zindagi dusra ghar dekh koi apne liye
hum nahin ab ke tera bojh uThane wale
phir se karta hun mohabbat ki shuruat 'waqas'
KHat jalata hun sabhi aaj purane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.