yaad-e-gesu-o-qad-e-yar liye phirte hain
yād-e-gesū-o-qad-e-yār liye phirte haiñ
ham kahīñ hoñ rasan-e-dār liye phirte haiñ
ham haiñ vo chāk-garebāñ jo zamāne ke liye
shauq-e-pairāhan-e-zar-tār liye phirte haiñ
muddateñ ho ga.iiñ us dāman-e-rañgīñ se chhuTe
aaj tak dīda-e-ḳhūñ-bār liye phirte haiñ
sharm ai zom-e-masīhā.ī ki ab bhī lākhoñ
jism-e-bīmār-o-dil-e-zār liye phirte haiñ
yaad-e-gesu-o-qad-e-yar liye phirte hain
hum kahin hon rasan-e-dar liye phirte hain
hum hain wo chaak-gareban jo zamane ke liye
shauq-e-pairahan-e-zar-tar liye phirte hain
muddaten ho gain us daman-e-rangin se chhuTe
aaj tak dida-e-KHun-bar liye phirte hain
sharm ai zom-e-masihai ki ab bhi lakhon
jism-e-bimar-o-dil-e-zar liye phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.