yaad-e-jaanan satati rahi umr bhar
yād-e-jānāñ satātī rahī umr bhar
ḳhuuñ ke aañsū rulātī rahī umr bhar
ek āvāz aatī rahī umr bhar
dil meñ jaadū jagātī rahī umr bhar
ik na ik ġham se paḌtā rahā vāsta
zindagī gul khilātī rahī umr bhar
sū-e-sahrā qadam mere uThte rahe
jaane kyā shai bulātī rahī umr bhar
aap se mil ga.ī mujh ko aisī ḳhushī
zindagī muskurātī rahī umr bhar
maiñ ki thā ek muflis ke ghar kā diyā
ātish-e-ġham jalātī rahī umr bhar
ḳhuub thī husn-e-dilkash kī jalvagarī
'auj' dil ko lubhātī rahī umr bhar
yaad-e-jaanan satati rahi umr bhar
KHun ke aansu rulati rahi umr bhar
ek aawaz aati rahi umr bhar
dil mein jadu jagati rahi umr bhar
ek na ek gham se paDta raha wasta
zindagi gul khilati rahi umr bhar
su-e-sahra qadam mere uThte rahe
jaane kya shai bulati rahi umr bhar
aap se mil gai mujh ko aisi KHushi
zindagi muskuraati rahi umr bhar
main ki tha ek muflis ke ghar ka diya
aatish-e-gham jalati rahi umr bhar
KHub thi husn-e-dilkash ki jalwagari
'auj' dil ko lubhati rahi umr bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.