yaad-e-mazi ki meri laghzish-e-pa ho jaise
yād-e-māzī ki mirī laġhzish-e-pā ho jaise
aur ye karb kā ehsās sazā ho jaise
tujh se duurī kisī majzūb kī manfī bāteñ
terā milnā kisī sālik kī duā ho jaise
muddatoñ se hai vahī shab kī masāfat jaarī
kārvāñ samt-e-safar bhuul gayā ho jaise
ab to chehroñ se vo āsār-e-rifāqat bhī ga.e
har koī paikar-e-ehsās-e-anā ho jaise
tohmateñ aisī ki ye soch rahā huuñ ḳhud bhī
umr ke saath mirā qad bhī ghaTā ho jaise
muzmahil sā nazar aatā hai mirā zauq-e-jamāl
vo bhī is dhuup meñ tā-der rahā ho jaise
kab tak āḳhir maiñ chalūñ samt-e-muḳhālif kī taraf
aane vaalā bhī koī ābla-pā ho jaise
merī āñkhoñ kī namī kahne lagī hai koī baat
aa.ina mujh se nazar pher rahā ho jaise
zindagī ab tirā mauzū-e-suḳhan mere yahāñ
ek TuuTā huā paimān-e-vafā ho jaise
kab patā dete haiñ phūloñ ko khilāne vaale
ham samajhte haiñ ki faizān-e-sabā ho jaise
yaad-e-mazi ki meri laghzish-e-pa ho jaise
aur ye karb ka ehsas saza ho jaise
tujh se duri kisi majzub ki manfi baaten
tera milna kisi salik ki dua ho jaise
muddaton se hai wahi shab ki masafat jari
karwan samt-e-safar bhul gaya ho jaise
ab to chehron se wo aasar-e-rifaqat bhi gae
har koi paikar-e-ehsas-e-ana ho jaise
tohmaten aisi ki ye soch raha hun KHud bhi
umr ke sath mera qad bhi ghaTa ho jaise
muzmahil sa nazar aata hai mera zauq-e-jamal
wo bhi is dhup mein ta-der raha ho jaise
kab tak aaKHir main chalun samt-e-muKHalif ki taraf
aane wala bhi koi aabla-pa ho jaise
meri aankhon ki nami kahne lagi hai koi baat
aaina mujh se nazar pher raha ho jaise
zindagi ab tera mauzu-e-suKHan mere yahan
ek TuTa hua paiman-e-wafa ho jaise
kab pata dete hain phulon ko khilane wale
hum samajhte hain ki faizan-e-saba ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.