yaad-e-rafta tera gham manane ke hum
yād-e-rafta tirā ġham manāne ke ham
rah ga.e sirf par phaḌphaḌāne ke ham
muddatoñ 'ahd-e-nau se ulajhte rahe
is jahāñ meñ purāne zamāne ke ham
aadmī jis meñ insāñ banā.e ga.e
kaash hote usī kār-ḳhāne ke ham
āñsuoñ kuchh bhī mushkil nahīñ zabt-e-ġham
tum ko lekin nahīñ āzmāne ke ham
bhūlne kī taraf hai zamāne kī rau
ab kisī ko nahīñ yaad aane ke ham
yā'nī 'āzād' dil hī dikhā na sake
yā'nī mujrim haiñ bas muskurāne ke ham
yaad-e-rafta tera gham manane ke hum
rah gae sirf par phaDphaDane ke hum
muddaton 'ahd-e-nau se ulajhte rahe
is jahan mein purane zamane ke hum
aadmi jis mein insan banae gae
kash hote usi kar-KHane ke hum
aansuon kuchh bhi mushkil nahin zabt-e-gham
tum ko lekin nahin aazmane ke hum
bhulne ki taraf hai zamane ki rau
ab kisi ko nahin yaad aane ke hum
ya'ni 'azad' dil hi dikha na sake
ya'ni mujrim hain bas muskurane ke hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.