Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana

Mohammad Sadiq Zia

yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana

Mohammad Sadiq Zia

MORE BYMohammad Sadiq Zia

    yaad hai aah vo rañg-e-navā ho jaanā

    yuuñ fazāoñ meñ simaTnā ki ghaTā ho jaanā

    is qadar kaif ki madhosh-e-fazā ho jaanā

    dekhnā saaz ko aur naġhma-sarā ho jaanā

    husn fitrat-e-ma.asūm thī pāband-e-hijāb

    ishq se siikh liyā jalva-numā ho jaanā

    rasm-e-ādāb-o-mohabbat vo pāband kahāñ

    jis taqdīr meñ ho nazr-e-vafā ho jaanā

    husn ik ishq soī huī kaifiyyat hai

    ishq hai husn bedār-e-vafā ho jaanā

    na.ī zanjīr hai duniyā har ik hañgāma

    asl meñ qaid hai zindāñ se rihā ho jaanā

    mast-e-pindār sahī sāz-e-ḳhudī kyuuñ chheḌūñ

    be-ḳhudī ko mirī aatā hai ḳhudā ho jaanā

    yaad hai mujh ko vo gahvāra-e-zulmat fazā

    itnā tārīkī meñ phir taaki 'ziyā' ho jaanā

    yaad hai aah ka wo rang-e-nawa ho jaana

    yun fazaon mein simaTna ki ghaTa ho jaana

    is qadar kaif ki madhosh-e-faza ho jaana

    dekhna saz ko aur naghma-sara ho jaana

    husn ki fitrat-e-masum thi paband-e-hijab

    ishq se sikh liya jalwa-numa ho jaana

    rasm-e-adab-o-mohabbat ka wo paband kahan

    jis ki taqdir mein ho nazr-e-wafa ho jaana

    husn ek ishq ki soi hui kaifiyyat hai

    ishq hai husn ka bedar-e-wafa ho jaana

    nai zanjir hai duniya ka har ek hangama

    asl mein qaid hai zindan se riha ho jaana

    mast-e-pindar sahi saz-e-KHudi kyun chheDun

    be-KHudi ko meri aata hai KHuda ho jaana

    yaad hai mujh ko wo gahwara-e-zulmat ki faza

    itna tariki mein phir taki 'ziya' ho jaana

    Source :
    • Subh-e-Mashriq
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now