Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad hai wo pur-kaif zamana hae mohabbat hae jawani

Wali Kakoravi

yaad hai wo pur-kaif zamana hae mohabbat hae jawani

Wali Kakoravi

MORE BYWali Kakoravi

    yaad hai vo pur-kaif zamāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    un kahānī merā fasāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    hijr meñ un ke chain na paanā raat ko aksar niiñd na aana

    us pe sitam koyal tarāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    naqsh haiñ dil par un jafā.eñ raas na aa.iiñ mujh ko vafā.eñ

    luT gayā saarā dil ḳhazāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    husn ārā.ish vo manzar aa.ine meñ aks-e-ruḳh-e-dilbar

    dast-o-garebāñ kākul-o-shāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    is meñ base the rangīñ jalve sīmīñ jalve zarrīñ jalve

    dil thā mirā ik ā.ina-ḳhāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    merā bulānā un na aanā un bulānā merā na jaanā

    turfa-kashākash taaza bahāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    uf vo mire kāshāne meñ aksar shab ko tirā aana chhup-chhup kar

    jām-ba-kaf aur zulf-ba-shāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    kyā kaheñ haal apne dil-o-jāñ vaqt-e-sahar vo shor azaañ

    aur vo honā un ravāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    guzrī kahānī yaad phir aa.ī dil meñ 'valī' ik huuk uTThī

    merī ġhazal hai dil tarāna haa.e mohabbat haa.e javānī

    yaad hai wo pur-kaif zamana hae mohabbat hae jawani

    un ki kahani mera fasana hae mohabbat hae jawani

    hijr mein un ke chain na pana raat ko aksar nind na aana

    us pe sitam koyal ka tarana hae mohabbat hae jawani

    naqsh hain dil par un ki jafaen ras na aain mujh ko wafaen

    luT gaya sara dil ka KHazana hae mohabbat hae jawani

    husn ki aaraish ka wo manzar aaine mein aks-e-ruKH-e-dilbar

    dast-o-gareban kakul-o-shana hae mohabbat hae jawani

    is mein base the rangin jalwe simin jalwe zarrin jalwe

    dil tha mera ek aaina-KHana hae mohabbat hae jawani

    mera bulana un ka na aana un ka bulana mera na jaana

    turfa-kashakash taza bahana hae mohabbat hae jawani

    uf wo mere kashane mein aksar shab ko tera aana chhup-chhup kar

    jam-ba-kaf aur zulf-ba-shana hae mohabbat hae jawani

    kya kahen haal apne dil-o-jaan ka waqt-e-sahar wo shor azan ka

    aur wo hona un ka rawana hae mohabbat hae jawani

    guzri kahani yaad phir aai dil mein 'wali' ek huk si uTThi

    meri ghazal hai dil ka tarana hae mohabbat hae jawani

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now