yaad hai wo pur-kaif zamana hae mohabbat hae jawani
yaad hai vo pur-kaif zamāna haa.e mohabbat haa.e javānī
un kī kahānī merā fasāna haa.e mohabbat haa.e javānī
hijr meñ un ke chain na paanā raat ko aksar niiñd na aanā
us pe sitam koyal kā tarāna haa.e mohabbat haa.e javānī
naqsh haiñ dil par un kī jafā.eñ raas na aa.iiñ mujh ko vafā.eñ
luT gayā saarā dil kā ḳhazāna haa.e mohabbat haa.e javānī
husn kī ārā.ish kā vo manzar aa.ine meñ aks-e-ruḳh-e-dilbar
dast-o-garebāñ kākul-o-shāna haa.e mohabbat haa.e javānī
is meñ base the rangīñ jalve sīmīñ jalve zarrīñ jalve
dil thā mirā ik ā.ina-ḳhāna haa.e mohabbat haa.e javānī
merā bulānā un kā na aanā un kā bulānā merā na jaanā
turfa kashākash taaza bahāna haa.e mohabbat haa.e javānī
uf vo mire kāshāne meñ aksar shab ko tirā aana chhup-chhup kar
jām-ba-kaf aur zulf-ba-shāna haa.e mohabbat haa.e javānī
kyā kaheñ haal apne dil-o-jāñ kā vaqt-e-sahar vo shor azaañ kā
aur vo honā un kā ravāna haa.e mohabbat haa.e javānī
guzrī kahānī yaad phir aa.ī dil meñ 'valī' ik huuk sī uTThī
merī ġhazal hai dil kā tarāna haa.e mohabbat haa.e javānī
yaad hai wo pur-kaif zamana hae mohabbat hae jawani
un ki kahani mera fasana hae mohabbat hae jawani
hijr mein un ke chain na pana raat ko aksar nind na aana
us pe sitam koyal ka tarana hae mohabbat hae jawani
naqsh hain dil par un ki jafaen ras na aain mujh ko wafaen
luT gaya sara dil ka KHazana hae mohabbat hae jawani
husn ki aaraish ka wo manzar aaine mein aks-e-ruKH-e-dilbar
dast-o-gareban kakul-o-shana hae mohabbat hae jawani
is mein base the rangin jalwe simin jalwe zarrin jalwe
dil tha mera ek aaina-KHana hae mohabbat hae jawani
mera bulana un ka na aana un ka bulana mera na jaana
turfa kashakash taza bahana hae mohabbat hae jawani
uf wo mere kashane mein aksar shab ko tera aana chhup-chhup kar
jam-ba-kaf aur zulf-ba-shana hae mohabbat hae jawani
kya kahen haal apne dil-o-jaan ka waqt-e-sahar wo shor azan ka
aur wo hona un ka rawana hae mohabbat hae jawani
guzri kahani yaad phir aai dil mein 'wali' ek huk si uTThi
meri ghazal hai dil ka tarana hae mohabbat hae jawani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.