yaad jab aaya koi bichhDa hua
yaad jab aayā koī bichhḌā huā
zaḳhm dil kā aur bhī gahrā huā
ham bhī apne vaqt ke bigḌe hue
vo bhī apne vaqt kā TuuTā huā
TūTnā thā dil parā.e haath se
aap se TuuTā chalo achchhā huā
dostī-o-mahr-o-īsār-o-vafā
in sarāboñ par mujhe dhoka huā
aap qīmat kyoñ lagāte haiñ mirī
maiñ koī saudā nahīñ biktā huā
maiñ to itnā jāntā huuñ bas 'asar'
jo huā mere liye achchhā huā
yaad jab aaya koi bichhDa hua
zaKHm dil ka aur bhi gahra hua
hum bhi apne waqt ke bigDe hue
wo bhi apne waqt ka TuTa hua
TuTna tha dil parae hath se
aap se TuTa chalo achchha hua
dosti-o-mahr-o-isar-o-wafa
in sarabon par mujhe dhoka hua
aap qimat kyon lagate hain meri
main koi sauda nahin bikta hua
main to itna jaanta hun bas 'asar'
jo hua mere liye achchha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.