yaad kar kar ke aahen bharte hain
yaad kar kar ke aaheñ bharte haiñ
un ke kūche se jab guzarte haiñ
ishq to aap hī se karte haiñ
phir bhī iz.hār se vo Darte haiñ
zaḳhm-e-ulfat magar nahīñ bharte
chāragar to ilaaj karte haiñ
aa.ina un meñ Duub jaatā hai
aa.ine meñ jo vo sañvarte haiñ
merī fitrat meñ hai vafādārī
aur mujh se gilā vo karte haiñ
ishq meñ haa.e hai ajab hālat
ham na jiite haiñ na hī marte haiñ
rū-ba-rū jab bhī ham nahīñ hote
un ke gesū kahāñ sañvarte haiñ
ham musāfir haiñ rāh-e-ulfat ke
rāste meñ kahāñ Thaharte haiñ
yaad kar kar ke aahen bharte hain
un ke kuche se jab guzarte hain
ishq to aap hi se karte hain
phir bhi izhaar se wo Darte hain
zaKHm-e-ulfat magar nahin bharte
chaaragar to ilaj karte hain
aaina un mein Dub jata hai
aaine mein jo wo sanwarte hain
meri fitrat mein hai wafadari
aur mujh se gila wo karte hain
ishq mein hae hai ajab haalat
hum na jite hain na hi marte hain
ru-ba-ru jab bhi hum nahin hote
un ke gesu kahan sanwarte hain
hum musafir hain rah-e-ulfat ke
raste mein kahan Thaharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.