yaad kar kar ke teri yaad miTane nikle
yaad kar kar ke tirī yaad miTāne nikle
le ke ghī haath meñ ham aag bujhāne nikle
ham faqīroñ ke qalam se jo ḳhazāne nikle
jholiyāñ le ke shahanshāh charāne nikle
jaise jangal meñ koī raat bitāne nikle
ghar se nikle to lagā jaan gañvāne nikle
apnī hālat kā ab ehsās huā hai aise
jaise chhappar koī barsāt meñ chhāne nikle
bhūkī dhartī kī anā aa ga.ī dāman meñ magar
saare ākāsh meñ do-chār hī daane nikle
kuchh thake-māñdoñ pe kuttoñ kā barasnā dekhā
jab vo fōtpath pe aḳhbār bichhāne nikle
ḳhud ko samjhāte hue shahr se yuuñ lauTe haiñ
jaise pardes koī ghar se kamāne nikle
aise insāñ se mulāqāt na karnā behtar
dil ke āñgan meñ jo dīvār uThāne nikle
saade logoñ ko bahut tang kiyā hai tū ne
ham hī dīvānoñ se bal tere zamāne nikle
sher kahte haiñ jise baat vahīñ ḳhatm huī
ham to bas 'mīr' kī ik rasm nibhāne nikle
yaad kar kar ke teri yaad miTane nikle
le ke ghi hath mein hum aag bujhane nikle
hum faqiron ke qalam se jo KHazane nikle
jholiyan le ke shahanshah charane nikle
jaise jangal mein koi raat bitane nikle
ghar se nikle to laga jaan ganwane nikle
apni haalat ka ab ehsas hua hai aise
jaise chhappar koi barsat mein chhane nikle
bhuki dharti ki ana aa gai daman mein magar
sare aakash mein do-chaar hi dane nikle
kuchh thake-mandon pe kutton ka barasna dekha
jab wo footpath pe aKHbar bichhane nikle
KHud ko samjhate hue shahr se yun lauTe hain
jaise pardes koi ghar se kamane nikle
aise insan se mulaqat na karna behtar
dil ke aangan mein jo diwar uThane nikle
sade logon ko bahut tang kiya hai tu ne
hum hi diwanon se bal tere zamane nikle
sher kahte hain jise baat wahin KHatm hui
hum to bas 'mir' ki ek rasm nibhane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.