yaad kar ke tu gae waqt ko rota hoga
yaad kar ke tū ga.e vaqt ko rotā hogā
chāñd jab jab tire āñgan meñ utartā hogā
yūñhī murjhā se ga.e hoñge mahakte gajre
jaane vaalā na magar lauT ke aaya hogā
jo mirā naam bhī letā thā duāoñ kī tarah
sochtī huuñ mujhe kis taur se bhūlā hogā
chāñd har ghar meñ yahī hogā magar us ke sabab
hañs paḌā hogā koī aur koī royā hogā
koī girya bhī na mahrūm-e-tamannā na kiyā
hausla vaqt ne kyā kyā na sikhāyā hogā
jab mire haath the roī huī nam āñkhoñ par
us ne jaate hue muḌ kar mujhe dekhā hogā
mushk-bār aa.ī hai yādoñ ke darīche se havā
koī guzrā huā lamha kahīñ mahkā hogā
yaad kar ke tu gae waqt ko rota hoga
chand jab jab tere aangan mein utarta hoga
yunhi murjha se gae honge mahakte gajre
jaane wala na magar lauT ke aaya hoga
jo mera nam bhi leta tha duaon ki tarah
sochti hun mujhe kis taur se bhula hoga
chand har ghar mein yahi hoga magar us ke sabab
hans paDa hoga koi aur koi roya hoga
koi girya bhi na mahrum-e-tamanna na kiya
hausla waqt ne kya kya na sikhaya hoga
jab mere hath the roi hui nam aankhon par
us ne jate hue muD kar mujhe dekha hoga
mushk-bar aai hai yaadon ke dariche se hawa
koi guzra hua lamha kahin mahka hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.