yaad karne se pahle bhulana paDa
yaad karne se pahle bhulānā paḌā
ye zahr thā magar āzmānā paḌā
jaan kar bhī ke hai tīrgī bad burī
jaan kar bhī ise gudgudānā paḌā
rāhbar ke zehn ko samajhne hameñ
rāhzan ke mohalle meñ jaanā paḌā
ab hañsī aa rahī hai ki kis ke liye
haa.e kis ke liye maar khānā paḌā
aap to sar Tikā kar ke chalte bane
aur yuuñ hī rahā phir ye shāna paḌā
zindagī zindagī zindagī zindagī
is burī nazm ko gungunānā paḌā
dozaḳhī meñ rئlā.ī to likkhī hī thī
par ġhazab ye huā muskurānā paḌā
yaad karne se pahle bhulana paDa
ye zahr tha magar aazmana paDa
jaan kar bhi ke hai tirgi bad buri
jaan kar bhi ise gudgudana paDa
rahbar ke zehn ko samajhne hamein
rahzan ke mohalle mein jaana paDa
ab hansi aa rahi hai ki kis ke liye
hae kis ke liye mar khana paDa
aap to sar Tika kar ke chalte bane
aur yun hi raha phir ye shana paDa
zindagi zindagi zindagi zindagi
is buri nazm ko gungunana paDa
dozaKHi mein rئlai to likkhi hi thi
par ghazab ye hua muskurana paDa
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. word file)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.