yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke baad
yaad karte ho mujhe sūraj nikal jaane ke ba.ad
ik sitāre ne ye pūchhā raat Dhal jaane ke ba.ad
maiñ zamīñ par huuñ to phir kyuuñ dekhtā huuñ āsmāñ
ye ḳhayāl aayā mujhe aksar phisal jaane ke ba.ad
dostoñ ke saath chalne meñ bhī ḳhatre haiñ hazār
bhuul jaatā huuñ hamesha maiñ sambhal jaane ke ba.ad
ab zarā sā fāslā rakh kar jalātā huuñ charāġh
tajraba ye haath aayā haath jal jaane ke ba.ad
vahshat-e-dil ko hai sahrā se baḌī nisbat ajiib
koī ghar lauTā nahīñ ghar se nikal jaane ke ba.ad
yaad karte ho mujhe suraj nikal jaane ke baad
ek sitare ne ye puchha raat Dhal jaane ke baad
main zamin par hun to phir kyun dekhta hun aasman
ye KHayal aaya mujhe aksar phisal jaane ke baad
doston ke sath chalne mein bhi KHatre hain hazar
bhul jata hun hamesha main sambhal jaane ke baad
ab zara sa fasla rakh kar jalata hun charagh
tajraba ye hath aaya hath jal jaane ke baad
wahshat-e-dil ko hai sahra se baDi nisbat ajib
koi ghar lauTa nahin ghar se nikal jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.