yaad ke be-rang zaKHmon ko lahu mil jaega
yaad ke be-rang zaḳhmoñ ko lahū mil jā.egā
dard kā mausam to aane do chaman khil jā.egā
ārzūoñ ke safar kī intihā hotī nahīñ
har na.ī manzil pe ik rasta nayā mil jā.egā
rahguzār-e-shauq meñ dil ke taqāze kuchh bhī hoñ
kārvān-e-zindagī manzil-ba-manzil jā.egā
dil sulagtā hai to dāman tak pahuñch jaatī hai aañch
jab kabhī tūfāñ uThegā sū-e-sāhil jā.egā
jis dayār-e-shauq kā thā aasrā vo miT gayā
ab kahāñ le kar mujhe ai jazba-e-dil jā.egā
terā kūcha ho ki maqtal ham ko is kī fikr kyā
ham usī jānib chaleñge jis taraf dil jā.egā
ehtimām-e-raqs-e-dīvāna to hai par sochiye
ḳhvāb-gāh-e-nāz tak shor-e-salāsil jā.egā
ho rahī hai bazm meñ 'shāriq' masīhā.ī kī baat
zaḳhm bhī bhar jā.eñge aur chaak bhī sil jā.egā
yaad ke be-rang zaKHmon ko lahu mil jaega
dard ka mausam to aane do chaman khil jaega
aarzuon ke safar ki intiha hoti nahin
har nai manzil pe ek rasta naya mil jaega
rahguzar-e-shauq mein dil ke taqaze kuchh bhi hon
karwan-e-zindagi manzil-ba-manzil jaega
dil sulagta hai to daman tak pahunch jati hai aanch
jab kabhi tufan uThega su-e-sahil jaega
jis dayar-e-shauq ka tha aasra wo miT gaya
ab kahan le kar mujhe ai jazba-e-dil jaega
tera kucha ho ki maqtal hum ko is ki fikr kya
hum usi jaanib chalenge jis taraf dil jaega
ehtimam-e-raqs-e-diwana to hai par sochiye
KHwab-gah-e-naz tak shor-e-salasil jaega
ho rahi hai bazm mein 'shaariq' masihai ki baat
zaKHm bhi bhar jaenge aur chaak bhi sil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.