yaad ke tyauhaar mein wasl-o-wafa sab chahiye
yaad ke tyauhār meñ vasl-o-vafā sab chāhiye
raat ke resham meñ lipTī aap kī chhab chāhiye
phir halāvat se chhalakte jaam ḳhālī ho ga.e
phir ġhazal ko aap kī shīrīnī-e-lab chāhiye
raat kī vaadī meñ saarī raunaqeñ ābād haiñ
din ke vīrāne meñ bhī ik gulshan-e-shab chāhiye
soch aur alfāz kī bechainiyoñ meñ kuchh bhī ho
baat kī tah se nikaltā saaf matlab chāhiye
raushnī kī jabr ne āñkhoñ ko ḳhīra kar diyā
ab basārat ke liye kuchh zulmat-e-shab chāhiye
rasm kī yaksāniyat niyyat kā parda ban ga.ī
jo munāfiq kā na ho aisā bhī maz.hab chāhiye
apne ġham kī uljhaneñ suljhāoge kab tak 'munīr'
dard ālam-gīr ho jaa.e yahī ab chāhiye
yaad ke tyauhaar mein wasl-o-wafa sab chahiye
raat ke resham mein lipTi aap ki chhab chahiye
phir halawat se chhalakte jam KHali ho gae
phir ghazal ko aap ki shirini-e-lab chahiye
raat ki wadi mein sari raunaqen aabaad hain
din ke virane mein bhi ek gulshan-e-shab chahiye
soch aur alfaz ki bechainiyon mein kuchh bhi ho
baat ki tah se nikalta saf matlab chahiye
raushni ki jabr ne aankhon ko KHira kar diya
ab basarat ke liye kuchh zulmat-e-shab chahiye
rasm ki yaksaniyat niyyat ka parda ban gai
jo munafiq ka na ho aisa bhi mazhab chahiye
apne gham ki uljhanen suljhaoge kab tak 'munir'
dard aalam-gir ho jae yahi ab chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.