yaad ki basti ka yun to har makan Khaali hua
yaad kī bastī kā yuuñ to har makāñ ḳhālī huā
bas gayā thā jo ḳhalā sā vo kahāñ ḳhālī huā
raat bhar ik aag sī jaltī rahī thī aañkh meñ
aur phir din bhar musalsal ik dhuāñ ḳhālī huā
ḳhud-ba-ḳhud ik dasht ne tashkīl paa.ī aur phir
lamha bhar meñ ek shahr-e-be-karāñ ḳhālī huā
aaj jab us lutf-e-sāya kī zarūrat hai hameñ
be-nasībī ye ki dast-e-mehrbāñ ḳhālī huā
rafta rafta bhar gayā har suud se apnā bhī jī
rafta rafta dil se ehsās-e-ziyāñ ḳhālī huā
aaj se ham bhī akele ho ga.e is bhiiḌ meñ
dhyān meñ thā jo bharā sā āsmāñ ḳhālī huā
yaad ki basti ka yun to har makan KHali hua
bas gaya tha jo KHala sa wo kahan KHali hua
raat bhar ek aag si jalti rahi thi aankh mein
aur phir din bhar musalsal ek dhuan KHali hua
KHud-ba-KHud ek dasht ne tashkil pai aur phir
lamha bhar mein ek shahr-e-be-karan KHali hua
aaj jab us lutf-e-saya ki zarurat hai hamein
be-nasibi ye ki dast-e-mehrban KHali hua
rafta rafta bhar gaya har sud se apna bhi ji
rafta rafta dil se ehsas-e-ziyan KHali hua
aaj se hum bhi akele ho gae is bhiD mein
dhyan mein tha jo bhara sa aasman KHali hua
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 68)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.