yaad ki poTli nikalti hai
yaad kī poTlī nikaltī hai
raat se raushnī nikaltī hai
mushkileñ raah bhī dikhātī haiñ
pattharoñ se nadī nikaltī hai
chāhe jitnā bhī vo mukammal ho
aadmī meñ kamī nikaltī hai
sochtī huuñ jo terī bātoñ ko
baiThe baiThe hañsī nikaltī hai
jab bhī dil keī talāshī letī huuñ
terī ḳhvāhish chhupī nikaltī hai
istifāda hai saath chalne meñ
baat se baat hī nikaltī hai
shor kitnā bhī tez ho chāhe
ba.ad meñ ḳhāmushī nikaltī hai
yaad ki poTli nikalti hai
raat se raushni nikalti hai
mushkilen rah bhi dikhati hain
pattharon se nadi nikalti hai
chahe jitna bhi wo mukammal ho
aadmi mein kami nikalti hai
sochti hun jo teri baaton ko
baiThe baiThe hansi nikalti hai
jab bhi dil kei talashi leti hun
teri KHwahish chhupi nikalti hai
istifada hai sath chalne mein
baat se baat hi nikalti hai
shor kitna bhi tez ho chahe
baad mein KHamushi nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.