yaad kya yaad ka sahaara kya
yaad kyā yaad kā sahārā kyā
is khilaune se dil bahaltā kyā
anjuman anjuman hai tanhā.ī
shahr-dar-shahr hai tamāshā kyā
ham bhī duniyā ko yaad aa na sake
yaad aatī hameñ bhī duniyā kyā
mere hamrāh merī manzil tak
yūñhī chaltā rahegā rastā kyā
zaḳhm hī zaḳhm detī jā.egī
muskurāne kī ik tamannā kyā
kis ne rokā guzarte lamhoñ ko
lauT aa.e vo ahd-e-rafta kyā
'aks maġhmūm hai bahut 'rāhī'
aa.ina ab nahīñ shanāsā kyā
yaad kya yaad ka sahaara kya
is khilaune se dil bahalta kya
anjuman anjuman hai tanhai
shahr-dar-shahr hai tamasha kya
hum bhi duniya ko yaad aa na sake
yaad aati hamein bhi duniya kya
mere hamrah meri manzil tak
yunhi chalta rahega rasta kya
zaKHm hi zaKHm deti jaegi
muskurane ki ek tamanna kya
kis ne roka guzarte lamhon ko
lauT aae wo ahd-e-rafta kya
'aks maghmum hai bahut 'rahi'
aaina ab nahin shanasa kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.