yaad mazi ke charaghon ko bujhaya na karo
yaad maazī ke charāġhoñ ko bujhāyā na karo
tum bhī tanhā na raho mujh ko bhī tanhā na karo
nafas-e-bād-e-sabā haath na aa.egā kabhī
gul kī uḌtī huī ḳhushbū kā ahāta na karo
ham ne dekhā hai dam-e-āḳhir-e-shab ḳhvāb koī
tum se kahnā hai ki ta.abīr kā charchā na karo
kuchh na kuchh hogā mire ḳhaak uḌāne kā sabab
jaane vaalo mujhe āvāza-e-sahrā na karo
yuuñ na mahsūs ho aflāk-nashīñ hai koī
is qadar duur se to mujh ko pukārā na karo
yaad mazi ke charaghon ko bujhaya na karo
tum bhi tanha na raho mujh ko bhi tanha na karo
nafas-e-baad-e-saba hath na aaega kabhi
gul ki uDti hui KHushbu ka ahata na karo
hum ne dekha hai dam-e-aKHir-e-shab KHwab koi
tum se kahna hai ki tabir ka charcha na karo
kuchh na kuchh hoga mere KHak uDane ka sabab
jaane walo mujhe aawaza-e-sahra na karo
yun na mahsus ho aflak-nashin hai koi
is qadar dur se to mujh ko pukara na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.