yaad mein teri aisa karne lagte hain
yaad meñ terī aisā karne lagte haiñ
ham aksar ḳhud se hī laḌne lagte haiñ
yādeñ zinda ho jaatī haiñ shaam Dhale
phir ham dhīre-dhīre marne lagte haiñ
kuchh yādeñ itnī dhuñdlī ho jaatī haiñ
ham un ko ik ḳhvāb samajhne lagte haiñ
vo qissa maiñ jab jab bhī dohrātā huuñ
nazroñ se kuchh log utarne lagte haiñ
būḌhe ho kar mukhiyā apne ghar meñ hī
apnī aulādoñ se Darne lagte haiñ
yaad mein teri aisa karne lagte hain
hum aksar KHud se hi laDne lagte hain
yaaden zinda ho jati hain sham Dhale
phir hum dhire-dhire marne lagte hain
kuchh yaaden itni dhundli ho jati hain
hum un ko ek KHwab samajhne lagte hain
wo qissa main jab jab bhi dohraata hun
nazron se kuchh log utarne lagte hain
buDhe ho kar mukhiya apne ghar mein hi
apni auladon se Darne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.