yaad mein teri jag jag ke hum raat bhar karwaTen badalte hain
yaad mein teri jag jag ke hum raat bhar karwaTen badalte hain
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
yaad meñ terī jaag jaag ke ham raat bhar karvaTeñ badalte haiñ
har ghaḌī dil meñ terī ulfat ke dhīme dhīme charāġh jalte haiñ
jab se tū ne nigāh pherī hai din hai suunā to raat añdherī hai
chāñd bhī ab nazar nahīñ aatā ab sitāre bhī kam nikalte haiñ
luT ga.ī vo bahār kī mahfil chhuT ga.ī ham se pyaar kī manzil
zindagī kī udaas rāhoñ meñ terī yādoñ ke saath chalte haiñ
tujh ko pā kar hameñ bahār milī tujh se chhuT kar magar ye baat khulī
bāġhbāñ hī chaman ke phūloñ ko apne pairoñ se ḳhud masalte haiñ
kyā kaheñ tujh se kyoñ huī duurī ham samajhte haiñ apnī majbūrī
tujh ko mā'lūm kyā ki tere liye dil ke ġham āñsuoñ meñ Dhalte haiñ
yaad mein teri jag jag ke hum raat bhar karwaTen badalte hain
har ghaDi dil mein teri ulfat ke dhime dhime charagh jalte hain
jab se tu ne nigah pheri hai din hai suna to raat andheri hai
chand bhi ab nazar nahin aata ab sitare bhi kam nikalte hain
luT gai wo bahaar ki mahfil chhuT gai hum se pyar ki manzil
zindagi ki udas rahon mein teri yaadon ke sath chalte hain
tujh ko pa kar hamein bahaar mili tujh se chhuT kar magar ye baat khuli
baghban hi chaman ke phulon ko apne pairon se KHud masalte hain
kya kahen tujh se kyon hui duri hum samajhte hain apni majburi
tujh ko ma'lum kya ki tere liye dil ke gham aansuon mein Dhalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.