yaad mein teri kab bhala sham se dil jala nahin
yaad meñ terī kab bhalā shaam se dil jalā nahīñ
is ke sivā hayāt meñ kaam koī rahā nahīñ
lagtā hai tum ko dekh ke ruk sī ga.ī haiñ gardisheñ
varna yahāñ to do qadam chalne kā rāsta nahīñ
jaane vo ajnabī mujhe apnā shanāsā kyuuñ lagā
jab ki hamāre darmiyāñ koī bhī rābta nahīñ
shām-e-qafas na pūchhiye kaisī qayāmateñ rahīñ
TūTīñ bahut sī tīliyāñ qaidī magar uḌā nahīñ
rāhguzār-e-shauq meñ duur talak ġhubār hai
kaise uThā.ūñ maiñ qadam kuchh bhī to sūjhtā nahīñ
merā vajūd be-sadā lafzoñ meñ kaise Dhal gayā
tum ne to ḳhair kah diyā merī koī ḳhatā nahīñ
laa.ī mujhe kahāñ talak dekhiye merī be-ḳhudī
aaj mujhe yaqīñ huā aam ye rāsta nahīñ
yaad mein teri kab bhala sham se dil jala nahin
is ke siwa hayat mein kaam koi raha nahin
lagta hai tum ko dekh ke ruk si gai hain gardishen
warna yahan to do qadam chalne ka rasta nahin
jaane wo ajnabi mujhe apna shanasa kyun laga
jab ki hamare darmiyan koi bhi rabta nahin
sham-e-qafas na puchhiye kaisi qayamaten rahin
TuTin bahut si tiliyan qaidi magar uDa nahin
rahguzar-e-shauq mein dur talak ghubar hai
kaise uThaun main qadam kuchh bhi to sujhta nahin
mera wajud be-sada lafzon mein kaise Dhal gaya
tum ne to KHair kah diya meri koi KHata nahin
lai mujhe kahan talak dekhiye meri be-KHudi
aaj mujhe yaqin hua aam ye rasta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.