Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad mujhe dila gai meri wo bewafaiyan

Mahmood Shaam

yaad mujhe dila gai meri wo bewafaiyan

Mahmood Shaam

MORE BYMahmood Shaam

    yaad mujhe dilā ga.ī merī vo bevafā.iyāñ

    aañkh meñ us naqsh thiiñ kitnī kaThin judā.iyāñ

    chehre pe kyā azaab the aañkh meñ kitne ḳhvāb the

    hoñT khulī kitāb the kahte the sab kahāniyāñ

    phailī thī us ke ās-pās gahrī udāsiyoñ baas

    jhāñk rahī thī saḳht pyaas dahak rahe the jism-o-jāñ

    palkoñ pe guzrī sā.ateñ lab par gile shikāyateñ

    āñsuoñ meñ hikāyateñ dhaḌkaneñ saañs siskiyāñ

    lafz the kuchh kaTe kaTe saañs bhī the baTe baTe

    baal the gard meñ aTe chehre pe thiiñ havā.iyāñ

    'shām' havā siskiyāñ din ke lahū surḳhiyāñ

    dard-bharī ye dāstāñ phailī haiñ sab karāñ karāñ

    yaad mujhe dila gai meri wo bewafaiyan

    aankh mein us ki naqsh thin kitni kaThin judaiyan

    chehre pe kya azab the aankh mein kitne KHwab the

    honT khuli kitab the kahte the sab kahaniyan

    phaili thi us ke aas-pas gahri udasiyon ki bas

    jhank rahi thi saKHt pyas dahak rahe the jism-o-jaan

    palkon pe guzri saaten lab par gile shikayaten

    aansuon mein hikayaten dhaDkanen sans siskiyan

    lafz the kuchh kaTe kaTe sans bhi the baTe baTe

    baal the gard mein aTe chehre pe thin hawaiyan

    'sham' hawa ki siskiyan din ke lahu ki surKHiyan

    dard-bhari ye dastan phaili hain sab karan karan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now