yaad phir aai teri mausam salona ho gaya
yaad phir aa.ī tirī mausam salonā ho gayā
shaġhl sā āñkhoñ kā bas dāman bhigonā ho gayā
ab kisī se kyā kaheñ ham kis liye barbād haiñ
ab kisī kī kyuuñ suneñ jo kuchh thā honā ho gayā
giit bābul ke sunāne terī sakhiyāñ aa ga.iiñ
maiñ tire bachpan kā ik TuuTā khilaunā ho gayā
merī palkoñ par mire ḳhvāboñ kī kircheñ rah ga.iiñ
niiñd ghāyal ho ga.ī āñkhoñ meñ sonā ho gayā
phir kisī kī yaad kyuuñ aatī hai yārab ḳhair ho
maiñ to aañsū poñchh kar ḳhush thā ki ronā ho gayā
yaad phir aai teri mausam salona ho gaya
shaghl sa aankhon ka bas daman bhigona ho gaya
ab kisi se kya kahen hum kis liye barbaad hain
ab kisi ki kyun sunen jo kuchh tha hona ho gaya
git babul ke sunane teri sakhiyan aa gain
main tere bachpan ka ek TuTa khilauna ho gaya
meri palkon par mere KHwabon ki kirchen rah gain
nind ghayal ho gai aankhon mein sona ho gaya
phir kisi ki yaad kyun aati hai yarab KHair ho
main to aansu ponchh kar KHush tha ki rona ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.