yaad rah jaen jo wo lafz-o-maani rakhna
yaad rah jaa.eñ jo vo lafz-o-ma.ānī rakhnā
apnī tahrīr meñ dariyā kī ravānī rakhnā
maiñ chalā ā.ūñgā bahke hue mausam kī tarah
tum mire naam koī shaam suhānī rakhnā
log pūchheñ to koī baat na kahnā un se
dil meñ poshīda har ik ġham kī kahānī rakhnā
maiñ jise dekh ke andāza lagā luuñ terā
apne nazdīk koī aisī nishānī rakhnā
ye to ham haiñ jo tujhe saath rakhā hai 'shāriq'
varna āsāñ to nahīñ dushman-e-jānī rakhnā
yaad rah jaen jo wo lafz-o-maani rakhna
apni tahrir mein dariya ki rawani rakhna
main chala aaunga bahke hue mausam ki tarah
tum mere nam koi sham suhani rakhna
log puchhen to koi baat na kahna un se
dil mein poshida har ek gham ki kahani rakhna
main jise dekh ke andaza laga lun tera
apne nazdik koi aisi nishani rakhna
ye to hum hain jo tujhe sath rakha hai 'shaariq'
warna aasan to nahin dushman-e-jaani rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.