yaad rakhne se bhul jaane se
yaad rakhne se bhuul jaane se
kaT ga.e din kisī bahāne se
maiñ sarāpā huā dhanak sūrat
tere kuchh-kuchh qarīb aane se
ghar meñ bhūchāl aa gayā hotā
sirf darvāza khaTkhaTāne se
ab to itnā hī yaad aatā hai
koī shikva sā thā zamāne se
kul baġhīcha hī ban gayā naġhma
ek panchhī ke chahchahāne se
yaad rakhne se bhul jaane se
kaT gae din kisi bahane se
main sarapa hua dhanak surat
tere kuchh-kuchh qarib aane se
ghar mein bhuchaal aa gaya hota
sirf darwaza khaTkhaTane se
ab to itna hi yaad aata hai
koi shikwa sa tha zamane se
kul baghicha hi ban gaya naghma
ek panchhi ke chahchahane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.