yaad rakkho to main haqiqat hun
yaad rakkho to maiñ haqīqat huuñ
bhuul jaao to maiñ fasāna huuñ
maiñ mohabbat kī baat kartā huuñ
log kahte haiñ maiñ divāna huuñ
ġhaur se dekh mere chehre ko
terā guzrā huā zamāna huuñ
har adā jāntā huuñ maiñ terī
aa.ina maiñ tirā purānā huuñ
tum ḳhayāloñ meñ jis ko bunte the
maiñ vahī 'shād' tānā-bānā huuñ
yaad rakkho to main haqiqat hun
bhul jao to main fasana hun
main mohabbat ki baat karta hun
log kahte hain main diwana hun
ghaur se dekh mere chehre ko
tera guzra hua zamana hun
har ada jaanta hun main teri
aaina main tera purana hun
tum KHayalon mein jis ko bunte the
main wahi 'shad' tana-bana hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.