yaad se jis ki dil shad-o-sarshaar hai aur faza jis se gulnar-o-gulzar hai
yaad se jis ki dil shad-o-sarshaar hai aur faza jis se gulnar-o-gulzar hai
Zubair Irtaza
MORE BYZubair Irtaza
yaad se jis kī dil shād-o-sarshār hai aur fazā jis se gulnār-o-gulzār hai
har-nafas ban gayā jis kī guftār hai vo hamārī kahānī kā shah-kār hai
ek afsurdagī ziist par chhā ga.ī aur duniyā idhar kī udhar ho ga.ī
baat kyā hai kyoñ aisā huā yak-ba-yak ye batānā bhī ab amr-e-dushvār hai
koī ye kah gayā rau meñ yā vāqa.ī baat dil kī zabāñ se nikal hī ga.ī
garche luknat thī jab ye kisī ne kahā pyā pyā pyā pyaar tum se mujhe pyaar hai
āp-bītī hai apnī ġhalat kuchh nahīñ jānte haiñ sabhī ham pe guzrī jo kuchh
vo haiñ maujūd dekhā jinhoñ ne magar mānñe ko nahīñ koī tayyār hai
jis pe jaañ dete the ek muḳhbir thā vo aur parvarda-e-dushman-e-jāñ thā vo
ham ne taaza ḳhabar jis meñ ye hai paḌhī aaj hī kā to vo ek aḳhbār hai
aaj tanhā sahī koī pursāñ nahīñ ziist aisī hamesha nahīñ thī 'zubair'
qissa-e-ġham sunā shauq se jis ne thā ab nahīñ sunñe ko vo ravādār hai
yaad se jis ki dil shad-o-sarshaar hai aur faza jis se gulnar-o-gulzar hai
har-nafas ban gaya jis ki guftar hai wo hamari kahani ka shah-kar hai
ek afsurdagi zist par chha gai aur duniya idhar ki udhar ho gai
baat kya hai kyon aisa hua yak-ba-yak ye batana bhi ab amr-e-dushwar hai
koi ye kah gaya rau mein ya waqai baat dil ki zaban se nikal hi gai
garche luknat thi jab ye kisi ne kaha pya pya pya pyar tum se mujhe pyar hai
aap-biti hai apni ghalat kuchh nahin jaante hain sabhi hum pe guzri jo kuchh
wo hain maujud dekha jinhon ne magar manne ko nahin koi tayyar hai
jis pe jaan dete the ek muKHbir tha wo aur parwarda-e-dushman-e-jaan tha wo
hum ne taza KHabar jis mein ye hai paDhi aaj hi ka to wo ek aKHbar hai
aaj tanha sahi koi pursan nahin zist aisi hamesha nahin thi 'zubair'
qissa-e-gham suna shauq se jis ne tha ab nahin sunne ko wo rawadar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.