yaad teri bhula raha hun main
yaad terī bhulā rahā huuñ maiñ
ik nayā giit gā rahā huuñ maiñ
jo tire saath hī chalī ga.ī thī
us ghaḌī ko bulā rahā huuñ maiñ
aa.ine meñ kahāñ hai aks tirā
umr bhar DhūñDhtā rahā huuñ maiñ
ye samundar hai Dūbne ke liye
phir bhī naav banā rahā huuñ maiñ
kyoñ dhaḌakne lagā hai terā dil
haal apnā batā rahā huuñ maiñ
raunaq-e-bazm-e-shauq yaad nahīñ
hijr meñ mubtalā rahā huuñ maiñ
sādgī khīñchtī hai apnī taraf
rang meñ Duubā jā rahā huuñ maiñ
laakh ahl-e-hunar se duur sahī
ishq se faiz pā rahā huuñ maiñ
ḳhvāb bujhne lage haiñ āñkhoñ meñ
raat bhar jāgtā rahā huuñ maiñ
is zamīñ kī niyāz-mandī meñ
āsmāñ ko jhukā rahā huuñ maiñ
ik na.ī zindagī ke siine meñ
ik nayā dil banā rahā huuñ maiñ
ik purāne junūñ ke malbe par
aql kā ghar basā rahā huuñ maiñ
yaad teri bhula raha hun main
ek naya git ga raha hun main
jo tere sath hi chali gai thi
us ghaDi ko bula raha hun main
aaine mein kahan hai aks tera
umr bhar DhunDhta raha hun main
ye samundar hai Dubne ke liye
phir bhi naw bana raha hun main
kyon dhaDakne laga hai tera dil
haal apna bata raha hun main
raunaq-e-bazm-e-shauq yaad nahin
hijr mein mubtala raha hun main
sadgi khinchti hai apni taraf
rang mein Duba ja raha hun main
lakh ahl-e-hunar se dur sahi
ishq se faiz pa raha hun main
KHwab bujhne lage hain aankhon mein
raat bhar jagta raha hun main
is zamin ki niyaz-mandi mein
aasman ko jhuka raha hun main
ek nai zindagi ke sine mein
ek naya dil bana raha hun main
ek purane junun ke malbe par
aql ka ghar basa raha hun main
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 72)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.