yaad teri jo kabhi aati hai bahlane ko
yaad terī jo kabhī aatī hai bahlāne ko
aur dīvāna banā jaatī hai dīvāne ko
tum mohabbat-bharī nazroñ se use dekh to lo
niiñd kāñToñ pe bhī aa jaatī hai dīvāne ko
ham batā.eñge tumheñ shāna-o-gesū ke rumūz
ḳhatm kar lo haram-o-dair ke afsāne ko
us ko mahfil meñ jo dekhā tapish-e-ġham kā sharīk
le liyā sham.a ne āġhosh meñ parvāne ko
bāda-kash vā.iz-e-kaj-fahm se kyā bahs kareñ
us ne dekhā hai bahut duur se maiḳhāne ko
aap zulf apnī sañvārā kiye aur duniyā ne
aap se chhīn liyā aap ke dīvāne ko
jab na 'ehsān' rahegā na kahānī us kī
aap dohrā.eñge 'ehsān' ke afsāne ko
yaad teri jo kabhi aati hai bahlane ko
aur diwana bana jati hai diwane ko
tum mohabbat-bhari nazron se use dekh to lo
nind kanTon pe bhi aa jati hai diwane ko
hum bataenge tumhein shana-o-gesu ke rumuz
KHatm kar lo haram-o-dair ke afsane ko
us ko mahfil mein jo dekha tapish-e-gham ka sharik
le liya shama ne aaghosh mein parwane ko
baada-kash waiz-e-kaj-fahm se kya bahs karen
us ne dekha hai bahut dur se maiKHane ko
aap zulf apni sanwara kiye aur duniya ne
aap se chhin liya aap ke diwane ko
jab na 'ehsan' rahega na kahani us ki
aap dohraenge 'ehsan' ke afsane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.