yaad ulfat ki kahani hai alif se ye tak
yaad ulfat kī kahānī hai alif se ye tak
ye tujhe aaj sunānī hai alif se ye tak
tujh ko ik baat batānī hai alif se ye tak
dūsrī baat chhupānī hai alif se ye tak
tirā chehra faqat ik chehra nahīñ hai mire dost
ek dariyā-e-ma.ānī hai alif se ye tak
dekh kar ḳhāna-ba-doshoñ ko yahī samjhā huuñ
zindagī naql-e-makānī hai alif se ye tak
zindagī kyā hai jo pūchhā to kahā āñkhoñ ne
zindagī ashk-fishānī hai alif se ye tak
koī novel koī theatre koī afsāna nahīñ
ziist ik sachchī kahānī hai alif se ye tak
mānñā hogī mirī baat bhī tujh ko pyāre
tirī har baat jo maanī hai alif se ye tak
thak chukā huuñ maiñ mohabbat kī kitābeñ paḌh kar
ab unheñ aag lagānī hai alif se ye tak
sun ke ye taaza ġhazal mujh se vo ik dam bolā
ye ġhazal terī purānī hai alif se ye tak
reg-e-sahrā pe ye likkhā hai kisī ne 'nūrī'
zindagī tishna-dahānī hai alif se ye tak
yaad ulfat ki kahani hai alif se ye tak
ye tujhe aaj sunani hai alif se ye tak
tujh ko ek baat batani hai alif se ye tak
dusri baat chhupani hai alif se ye tak
tera chehra faqat ek chehra nahin hai mere dost
ek dariya-e-maani hai alif se ye tak
dekh kar KHana-ba-doshon ko yahi samjha hun
zindagi naql-e-makani hai alif se ye tak
zindagi kya hai jo puchha to kaha aankhon ne
zindagi ashk-fishani hai alif se ye tak
koi nowel koi theatre koi afsana nahin
zist ek sachchi kahani hai alif se ye tak
manna hogi meri baat bhi tujh ko pyare
teri har baat jo mani hai alif se ye tak
thak chuka hun main mohabbat ki kitaben paDh kar
ab unhen aag lagani hai alif se ye tak
sun ke ye taza ghazal mujh se wo ek dam bola
ye ghazal teri purani hai alif se ye tak
reg-e-sahra pe ye likkha hai kisi ne 'nuri'
zindagi tishna-dahani hai alif se ye tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.