yaad unki dushman-e-aram ho kar rah gai
yaad un kī dushman-e-ārām ho kar rah ga.ī
be-qarārī ishq kā in.aam ho kar rah ga.ī
ziist apnī kushta-e-ālām ho kar rah ga.ī
haañ rahīn-e-gardish-e-ayyām ho kar rah ga.ī
har qadam par ham na.ī uljhan meñ phañs kar rah ga.e
zindagānī ik musalsal daam ho kar rah ga.ī
zindagī meñ ho sakā na ham ko ehsās-e-ḳhushī
zindagī apnī shikasta jaam ho kar rah ga.ī
talḳhiyāñ maazī kī kuchh yuuñ zehn par chhā.ī rahīñ
ishrat-e-nau ik ḳhayāl-e-ḳhām ho kar rah ga.ī
har nayā din saath laayā kuchh na.ī māyūsiyāñ
har sahar apne liye to shaam ho kar rah ga.ī
ho gayā dil par tasallut is tarah ālām kā
har ḳhushī āḳhir barā.e-nām ho kar rah ga.ī
dard-o-ranj-o-ġham sharīk-e-zindagī the har tarah
maut āḳhir muft meñ badnām ho kar rah ga.ī
dil-lagī āġhāz-e-ulfat hai ye maanā ham-nashīñ
aur agar dil kī lagī anjām ho kar rah ga.ī
ishq kā e.azāz pahle thā kisī ko hī nasīb
ab ye tohmat har kisī ke naam ho kar rah ga.ī
shaiḳh sāhab aap se kam-zarf logoñ ke tufail
mai-parastī dahr meñ badnām ho kar rah ga.ī
ġham zamāne-bhar ke sab hisse meñ mere aa ga.e
har ḳhushī duniyā kī un ke naam ho kar rah ga.ī
maiñ to mar kar bhī unheñ ai 'sehr' kar paayā na ḳhush
koshish-e-āḳhir bhī ye nākām ho kar rah ga.ī
yaad un ki dushman-e-aram ho kar rah gai
be-qarari ishq ka inam ho kar rah gai
zist apni kushta-e-alam ho kar rah gai
han rahin-e-gardish-e-ayyam ho kar rah gai
har qadam par hum nai uljhan mein phans kar rah gae
zindagani ek musalsal dam ho kar rah gai
zindagi mein ho saka na hum ko ehsas-e-KHushi
zindagi apni shikasta jam ho kar rah gai
talKHiyan mazi ki kuchh yun zehn par chhai rahin
ishrat-e-nau ek KHayal-e-KHam ho kar rah gai
har naya din sath laya kuchh nai mayusiyan
har sahar apne liye to sham ho kar rah gai
ho gaya dil par tasallut is tarah aalam ka
har KHushi aaKHir barae-nam ho kar rah gai
dard-o-ranj-o-gham sharik-e-zindagi the har tarah
maut aaKHir muft mein badnam ho kar rah gai
dil-lagi aaghaz-e-ulfat hai ye mana ham-nashin
aur agar dil ki lagi anjam ho kar rah gai
ishq ka eazaz pahle tha kisi ko hi nasib
ab ye tohmat har kisi ke nam ho kar rah gai
shaiKH sahab aap se kam-zarf logon ke tufail
mai-parasti dahr mein badnam ho kar rah gai
gham zamane-bhar ke sab hisse mein mere aa gae
har KHushi duniya ki un ke nam ho kar rah gai
main to mar kar bhi unhen ai 'sehr' kar paya na KHush
koshish-e-aKHir bhi ye nakaam ho kar rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.