yaad uski hai bahut ji mere bahlane ko
yaad us kī hai bahut jī mire bahlāne ko
jis ne afsāna banāyā mire afsāne ko
shaam se sub.h huī sub.h se phir shaam huī
dil ne jab chheḌ diyā dard ke afsāne ko
aa ga.ī yaad kisī kī nigah-e-mast mujhe
abhī hoñToñ se lagāyā hī thā paimāne ko
ab na sāġhar kī havas hai na tamannā-e-bahār
tere dāman kī havā mil ga.ī dīvāne ko
lazzat-e-tishna-labī yaad jo aa.ī 'shāriq'
rakh diyā maiñ ne uThā kar vahīñ paimāne ko
yaad us ki hai bahut ji mere bahlane ko
jis ne afsana banaya mere afsane ko
sham se subh hui subh se phir sham hui
dil ne jab chheD diya dard ke afsane ko
aa gai yaad kisi ki nigah-e-mast mujhe
abhi honTon se lagaya hi tha paimane ko
ab na saghar ki hawas hai na tamanna-e-bahaar
tere daman ki hawa mil gai diwane ko
lazzat-e-tishna-labi yaad jo aai 'shaariq'
rakh diya main ne uTha kar wahin paimane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.