yaad wo umr bhar rahega kya
yaad vo umr bhar rahegā kyā
dil isī kaam par rahegā kyā
kyā bikhar ke raheñge ḳhvāb mire
aa.ina TuuT kar rahegā kyā
kyā huā ab idhar na aa.egī
habs ye umr-bhar rahegā kyā
vo jo ik shaḳhs mere andar hai
mere andar hī mar rahegā kyā
maiñ havā kī tarah huuñ āvāra
tū merā ham-safar rahegā kyā
niiñd uḌtī rahegī āñkhoñ se
jashn ye rāt-bhar rahegā kyā
yaad wo umr bhar rahega kya
dil isi kaam par rahega kya
kya bikhar ke rahenge KHwab mere
aaina TuT kar rahega kya
kya hua ab idhar na aaegi
habs ye umr-bhar rahega kya
wo jo ek shaKHs mere andar hai
mere andar hi mar rahega kya
main hawa ki tarah hun aawara
tu mera ham-safar rahega kya
nind uDti rahegi aankhon se
jashn ye raat-bhar rahega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.