yaaden chalen KHayal chala ashk-e-tar chale
yādeñ chaleñ ḳhayāl chalā ashk-e-tar chale
le kar payām-e-shauq ka.ī nāma-bar chale
dil ko sambhālte rahe har hādse ye ham
ab kyā kareñ ki ḳhud tire gesū bikhar chale
har gaam par shikast ne yuuñ hausla diyā
jis tarah saath saath koī ham-safar chale
shauq-e-talab na ho koī bāñg-e-jaras to ho
āḳhir koī chale to kis ummīd par chale
ab kyā karoge sair-e-saman-zār-e-ārzū
rut jā chukī chaḌhe hue dariyā utar chale
rāhoñ meñ 'hosh' sañg baraste haiñ har taraf
le kar ye kārvān-e-tamannā kidhar chale
yaaden chalen KHayal chala ashk-e-tar chale
le kar payam-e-shauq kai nama-bar chale
dil ko sambhaalte rahe har hadse ye hum
ab kya karen ki KHud tere gesu bikhar chale
har gam par shikast ne yun hausla diya
jis tarah sath sath koi ham-safar chale
shauq-e-talab na ho koi bang-e-jaras to ho
aaKHir koi chale to kis ummid par chale
ab kya karoge sair-e-saman-zar-e-arzu
rut ja chuki chaDhe hue dariya utar chale
rahon mein 'hosh' sang baraste hain har taraf
le kar ye karwan-e-tamanna kidhar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.