yaadon ka ek dipak dil mein baiTh ke roz jalata hun
yādoñ kā ik dīpak dil meñ baiTh ke roz jalātā huuñ
dekh ke terī tasvīroñ ko rotā hañstā gaatā huuñ
momin aisā huuñ ki pahle jaam pe jaam lagātā huuñ
jā ke phir sajde meñ rab ko apnā haal sunātā huuñ
hijr ne tere hālat merī aisī kar dī hai ke ab
do din soyā rahtā huuñ aur do din kaam pe jaatā huuñ
dariyā sūraj chāñd sitāre qaus-o-quzah sab apnī jagah
lekin vo ik lamha jab maiñ tujh se haath milātā huuñ
aadhī shab kā sannāTā hai us meñ jugnū aur ik jhiil
aise manzar dekh ke aksar ḳhud meñ gum ho jaatā huuñ
ishq vahī sachchā hai jis meñ manzil kī tamsīl na ho
aise vaise jumle kah kar ḳhud ko maiñ bahlātā huuñ
yaadon ka ek dipak dil mein baiTh ke roz jalata hun
dekh ke teri taswiron ko rota hansta gata hun
momin aisa hun ki pahle jam pe jam lagata hun
ja ke phir sajde mein rab ko apna haal sunata hun
hijr ne tere haalat meri aisi kar di hai ke ab
do din soya rahta hun aur do din kaam pe jata hun
dariya suraj chand sitare qaus-o-quzah sab apni jagah
lekin wo ek lamha jab main tujh se hath milata hun
aadhi shab ka sannaTa hai us mein jugnu aur ek jhil
aise manzar dekh ke aksar KHud mein gum ho jata hun
ishq wahi sachcha hai jis mein manzil ki tamsil na ho
aise waise jumle kah kar KHud ko main bahlata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.