yaadon ke darichon ko zara khol ke dekho
yādoñ ke darīchoñ ko zarā khol ke dekho
ham log vahī haiñ ki nahīñ bol ke dekho
ham os ke qatre haiñ ki bikhre hue motī
dhokā nazar aa.e to hameñ rol ke dekho
kānoñ meñ paḌī der talak guuñj rahegī
ḳhāmosh chaTānoñ se kabhī bol ke dekho
zarre haiñ magar kam nahīñ pāoge kisī se
phir jāñch ke dekho hameñ phir tol ke dekho
suqrāt se insān abhī haiñ ki nahīñ 'rām'
thoḌā sā kabhī jaam meñ vish ghol ke dekho
yaadon ke darichon ko zara khol ke dekho
hum log wahi hain ki nahin bol ke dekho
hum os ke qatre hain ki bikhre hue moti
dhoka nazar aae to hamein rol ke dekho
kanon mein paDi der talak gunj rahegi
KHamosh chaTanon se kabhi bol ke dekho
zarre hain magar kam nahin paoge kisi se
phir jaanch ke dekho hamein phir tol ke dekho
suqraat se insan abhi hain ki nahin 'ram'
thoDa sa kabhi jam mein wish ghol ke dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.