yaadon ke darichon se bite ayyam ki KHushbu aati hai
yaadon ke darichon se bite ayyam ki KHushbu aati hai
Qazi Ghulam Mohammad
MORE BYQazi Ghulam Mohammad
yādoñ ke darīchoñ se biite ayyām kī ḳhushbū aatī hai
taskīn ke jhoñke aate haiñ ārām kī ḳhushbū aatī hai
kuchh bol ki mustaqbil kī girah ham be-ḳhabroñ pe khul jaa.e
saaqī tirī mīThī bātoñ se ilhām kī ḳhushbū aatī hai
kis gulshan-e-ġhair-arzī meñ mujhe rahvār-e-sabā le aayā hai
har samt se mujh ko ek gul-e-be-nām kī ḳhushbū aatī hai
ik baar tire aane se kabhī gulban kī tarah jo mahkā thā
har gosha-e-shab se aaj usī hañgām kī ḳhushbū aatī hai
yaadon ke darichon se bite ayyam ki KHushbu aati hai
taskin ke jhonke aate hain aaram ki KHushbu aati hai
kuchh bol ki mustaqbil ki girah hum be-KHabron pe khul jae
saqi teri miThi baaton se ilham ki KHushbu aati hai
kis gulshan-e-ghair-arzi mein mujhe rahwar-e-saba le aaya hai
har samt se mujh ko ek gul-e-be-nam ki KHushbu aati hai
ek bar tere aane se kabhi gulban ki tarah jo mahka tha
har gosha-e-shab se aaj usi hangam ki KHushbu aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.