yaadon ke phir umDe baadal
yādoñ ke phir umḌe bādal
barse nainā bhīge āñchal
baat chalī hai jangal jangal
ahl-e-shahr hue haiñ pāgal
huuñ to maiñ bas buuñd barābar
siine meñ sāgar kī halchal
sāgar manthan to karvā deñ
piyegā par kaun halāhal
sab se paak tumhāre aañsū
is ke baa'd aa.e gangā-jal
chhoḌ 'sadā' sab fikr jahāñ ke
so jā ab tū oḌh ke kambal
yaadon ke phir umDe baadal
barse naina bhige aanchal
baat chali hai jangal jangal
ahl-e-shahr hue hain pagal
hun to main bas bund barabar
sine mein sagar ki halchal
sagar manthan to karwa den
piyega par kaun halahal
sab se pak tumhaare aansu
is ke ba'd aae ganga-jal
chhoD 'sada' sab fikr jahan ke
so ja ab tu oDh ke kambal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.