yaadon mein teri ashk bahae ko din hue
yādoñ meñ terī ashk bahā.e ko din hue
yaad aa ki ab ye lutf uThā.e ko din hue
muddat huī tū milne na aaya kabhī mujhe
mujh ko bhī terī yaad satā.e ko din hue
har sub.h fikr-e-kār-e-jahāñ meñ khulī hai aañkh
ḳhvāboñ meñ koī raat bitā.e ko din hue
haa.e vo mai-kade ke sabhī dil-figār log
jin sang koī shaam sajā.e ko din hue
taaza rafāqatoñ ke na.e zaḳhm khā.iye
pichhlī adāvateñ jo gañvā.e ko din hue
aane lage nigāh meñ is vaqt sab ke aib
ḳhud se kabhī nazar jo milā.e ko din hue
mahfil kī samt aanā paḌā āḳhirash hameñ
ḳhalvat-kade meñ dil jo dukhā.e ko din hue
jab se huā huuñ aap meñ apne se ham-suḳhan
auroñ ko apne sher sunā.e ko din hue
yaadon mein teri ashk bahae ko din hue
yaad aa ki ab ye lutf uThae ko din hue
muddat hui tu milne na aaya kabhi mujhe
mujh ko bhi teri yaad satae ko din hue
har subh fikr-e-kar-e-jahan mein khuli hai aankh
KHwabon mein koi raat bitae ko din hue
hae wo mai-kade ke sabhi dil-figar log
jin sang koi sham sajae ko din hue
taza rafaqaton ke nae zaKHm khaiye
pichhli adawaten jo ganwae ko din hue
aane lage nigah mein is waqt sab ke aib
KHud se kabhi nazar jo milae ko din hue
mahfil ki samt aana paDa aaKHirash hamein
KHalwat-kade mein dil jo dukhae ko din hue
jab se hua hun aap mein apne se ham-suKHan
auron ko apne sher sunae ko din hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.