yan chala aae jo wo sim-badan aap se aap
yan chala aae jo wo sim-badan aap se aap
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
yaañ chalā aa.e jo vo sīm-badan aap se aap
dafa.a ho dil se mire rañj-o-mehan aap se aap
mat raho chīñ-ba-jabīñ us se ki koī din meñ
is se be-sāḳhta vo degī shikan aap se aap
kal use dekh ke bhar aa.ī jo chhātī merī
bhar ga.e siine ke sab zaḳhm-e-kuhan aap se aap
us ke ruḳhsār ko kab dil se bhulāyā ham ne
ruk gayā ham se vo kuchh rashk-e-chaman aap se aap
asar-e-jazb yuuñ ġhurbat meñ dikhā.ūñ aarif
aa ke maujūd ho vo mulk-e-vatan aap se aap
yan chala aae jo wo sim-badan aap se aap
dafa ho dil se mere ranj-o-mehan aap se aap
mat raho chin-ba-jabin us se ki koi din mein
is se be-saKHta wo degi shikan aap se aap
kal use dekh ke bhar aai jo chhati meri
bhar gae sine ke sab zaKHm-e-kuhan aap se aap
us ke ruKHsar ko kab dil se bhulaya hum ne
ruk gaya hum se wo kuchh rashk-e-chaman aap se aap
asar-e-jazb yun ghurbat mein dikhaun aarif
aa ke maujud ho wo mulk-e-watan aap se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.