yan ke hone ko misalon ki zamin chahiye hai
yaañ ke hone ko misāloñ kī zamīñ chāhiye hai
us kī hastī ko ye tamsīl nahīñ chāhiye hai
har nishāñ us kā hai dil meñ bhī hai jalva us kā
zāhir-e-dīda kī taskīñ bhī kahīñ chāhiye hai
jo yahāñ bhī hai vahāñ bhī hai vahī hai achchhā
kyuuñ kaheñ us ko bhī achchhā jo yahīñ chāhe hai
yādeñ ābād zamānoñ kī haiñ ābād us meñ
hai ḳharāba pe use mujh sā makīñ chāhiye hai
kab samundar ne bujhā.ī hai koī pyaas yahāñ
shor hai 'shāh' ye pyāla hī nahīñ chāhiye hai
yan ke hone ko misalon ki zamin chahiye hai
us ki hasti ko ye tamsil nahin chahiye hai
har nishan us ka hai dil mein bhi hai jalwa us ka
zahir-e-dida ki taskin bhi kahin chahiye hai
jo yahan bhi hai wahan bhi hai wahi hai achchha
kyun kahen us ko bhi achchha jo yahin chahe hai
yaaden aabaad zamanon ki hain aabaad us mein
hai KHaraba pe use mujh sa makin chahiye hai
kab samundar ne bujhai hai koi pyas yahan
shor hai 'shah' ye pyala hi nahin chahiye hai
- Book : Shab Aaftaab (Pg. 136)
- Author : Shah Husain Nahri
- Publication : Nawa-e-deccan Publications, Aurangabad (M.S.) (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.