yan sada nish-e-bala waqf-e-jigar-reshi hai
yaañ sadā nīsh-e-balā vaqf-e-jigar-reshī hai
kiije kyā jaan mirī ālam-e-darveshī hai
apne maz.hab meñ qarābat nahīñ ajdād kī shart
tujh se nisbat hai jise us se hameñ ḳhveshī hai
mujh se ik ḳhasta se nāhaq ye shab o roz ḳhalish
ai jafā-pesha ye kyā nahv-e-sitam-keshī hai
baat hai shohra-nasībī kī nirālī varna
mujh pe kis chiiz meñ majnūñ ke ta.iiñ beshī hai
gauhar-e-ashk ko nishmurda tū 'qā.em' na bikher
aadmī hai va miyāñ āqbit-andeshī hai
yan sada nish-e-bala waqf-e-jigar-reshi hai
kije kya jaan meri aalam-e-darweshi hai
apne mazhab mein qarabat nahin ajdad ki shart
tujh se nisbat hai jise us se hamein KHweshi hai
mujh se ek KHasta se nahaq ye shab o roz KHalish
ai jafa-pesha ye kya nahw-e-sitam-keshi hai
baat hai shohra-nasibi ki nirali warna
mujh pe kis chiz mein majnun ke tain beshi hai
gauhar-e-ashk ko nishmurda tu 'qaem' na bikher
aadmi hai wa miyan aaqbit-andeshi hai
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.